Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye imtihan-e-wafa hai ai dil gila na kar unki be-ruKHi ka

Rashidullah Khan Jauhar

ye imtihan-e-wafa hai ai dil gila na kar unki be-ruKHi ka

Rashidullah Khan Jauhar

MORE BYRashidullah Khan Jauhar

    ye imtihān-e-vafā hai ai dil gila na kar un be-ruḳhī

    taḌap se matlab fuġhāñ se hāsil vaqār kho degā āshiqī

    hue jo mas.hūr-e-husn-e-rangīñ to zauq-e-sherī ne chuTkiyāñ liiñ

    fareb-e-ulfat meñ aa ga.e ham to lag gayā rog shā.erī

    na be-ḳhudī hai na hoshiyārī ajiib kuchh kaifiyat hai taarī

    ḳhabar hai un na hosh apnā ye kaun ruḳh hai zindagī

    bulā rahī haiñ hameñ bahāreñ vo gungunātī huī phuvāreñ

    chalo kareñ mil ke sair-e-gulshan kabhī to maano kahā kisī

    nazar rahī sab rang-o-bū par guzar gayā ham pe hashr 'jauhar'

    kisī ne dekhā na shīsha-e-dil chaman meñ hañstī hui kalī

    ye imtihan-e-wafa hai ai dil gila na kar un ki be-ruKHi ka

    taDap se matlab fughan se hasil waqar kho dega aashiqi ka

    hue jo mashur-e-husn-e-rangin to zauq-e-sheri ne chuTkiyan lin

    fareb-e-ulfat mein aa gae hum to lag gaya rog shaeri ka

    na be-KHudi hai na hoshiyari ajib kuchh kaifiyat hai tari

    KHabar hai un ki na hosh apna ye kaun sa ruKH hai zindagi ka

    bula rahi hain hamein bahaaren wo gungunati hui phuwaren

    chalo karen mil ke sair-e-gulshan kabhi to mano kaha kisi ka

    nazar rahi sab ki rang-o-bu par guzar gaya hum pe hashr 'jauhar'

    kisi ne dekha na shisha-e-dil chaman mein hansti hui kali ka

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 178)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now