Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga

Sadique Indori

ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga

Sadique Indori

MORE BYSadique Indori

  ye intihā-e-junūñ hai ki ġhair lagā

  jo āshnā thā kabhī aaj ajnabī lagā

  vo ek saaya jo behis thā murde mānind

  qarīb aayā to ik aks-e-zindagī lagā

  ḳhud apnī laash liye phir rahā thā kāñdhoñ par

  vo aadmī to na thā phir bhī aadmī lagā

  vo ik vajūd jo paale hue thā sāñpoñ ko

  nazar zad meñ jo aayā to bāñsurī lagā

  tamām umr jise paik-e-dostī samjhā

  huā jo tajraba vo naqsh-e-dushmanī lagā

  vo ek karb-e-musalsal jo dil jalātā thā

  tum aa ke paas jo baiThe to sarḳhushī lagā

  ba-zāhir ek chehra thā sāmne lekin

  kabhī kisī lagā to kabhī kisī lagā

  mire shu.ūr kam-mā.igī ki ai 'sādiq'

  yaqīn bhī kabhī tasvīr-e-vahm lagā

  ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga

  jo aashna tha kabhi aaj ajnabi sa laga

  wo ek saya jo behis tha murde ki manind

  qarib aaya to ek aks-e-zindagi sa laga

  KHud apni lash liye phir raha tha kandhon par

  wo aadmi to na tha phir bhi aadmi sa laga

  wo ek wajud jo pale hue tha sanpon ko

  nazar ki zad mein jo aaya to bansuri sa laga

  tamam umr jise paik-e-dosti samjha

  hua jo tajraba wo naqsh-e-dushmani sa laga

  wo ek karb-e-musalsal jo dil jalata tha

  tum aa ke pas jo baiThe to sarKHushi sa laga

  ba-zahir ek hi chehra tha samne lekin

  kabhi kisi ka laga to kabhi kisi ka laga

  mere shuur ki kam-maigi ki ai 'sadiq'

  yaqin bhi kabhi taswir-e-wahm hi sa laga

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now