Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ishq ek imtihan to le main pas kar lun

Zeeshaan sajid

ye ishq ek imtihan to le main pas kar lun

Zeeshaan sajid

MORE BYZeeshaan sajid

    ye ishq ik imtihān to le maiñ paas kar luuñ

    hudūd huuñ to hudūd saarī cross kar luuñ

    bahut kaThin mas.aloñ tahlīl bhī hai mumkin

    agar maiñ ik mas.ale ke TukḌe pachās kar luuñ

    tamām qudrat khaḌī hai imkāñ ke nazariye par

    qadam uThāne se pahle sikke se toss kar luuñ

    kisān khetoñ se ghar na paayā sochtā thā

    ikaTThī pahle maiñ umr-bhar kapās kar luuñ

    ye zindagī mumkināt ik harā shajar hai

    koī to ummīd bāñdh luuñ koī aas kar luuñ

    shujā.atoñ ke lageñge sab vāqi.āt jhūTe

    maiñ ḳhud ko gar mubtalā-e-ḳhuaf-o-hirās kar luuñ

    safar to kaT jā.egā magar kyā safar kaTegā

    so apne hamrāh chand phūloñ baas kar luuñ

    maiñ aañkh meñ muntaqil karūñ raushnī ko 'zīshān'

    magar ye behtar hai dhuup in.ikās kar luuñ

    ye ishq ek imtihan to le main pas kar lun

    hudud hun to hudud sari cross kar lun

    bahut kaThin masalon ki tahlil bhi hai mumkin

    agar main ek masale ke TukDe pachas kar lun

    tamam qudrat khaDi hai imkan ke nazariye par

    qadam uThane se pahle sikke se toss kar lun

    kisan kheton se ghar na ja paya sochta tha

    ikaTThi pahle main umr-bhar ki kapas kar lun

    ye zindagi mumkinat ka ek hara shajar hai

    koi to ummid bandh lun koi aas kar lun

    shujaaton ke lagenge sab waqiat jhuTe

    main KHud ko gar mubtala-e-KHuaf-o-hiras kar lun

    safar to kaT jaega magar kya safar kaTega

    so apne hamrah chand phulon ki bas kar lun

    main aankh mein muntaqil karun raushni ko 'zishan'

    magar ye behtar hai dhup ka inikas kar lun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now