aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai

Asghar Gondvi

ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai

Asghar Gondvi

MORE BYAsghar Gondvi

    ye ishq ne dekhā hai ye aql se pinhāñ hai

    qatre meñ samundar hai zarre meñ bayābāñ hai

    hai ishq ki mahshar meñ yuuñ mast o ḳhirāmāñ hai

    dozaḳh ba-garebāñ hai firdaus ba-dāmāñ hai

    hai ishq shorish se rānā.ī o zebā.ī

    jo ḳhuun uchhaltā hai vo rañg-e-gulistāñ hai

    phir garm-e-navāzish hai zau mehr-e-daraḳhshāñ

    phir qatra-e-shabnam meñ hañgāma-e-tūfāñ hai

    ai paikar-e-mahbūbī maiñ kis se tujhe dekhūñ

    jis ne tujhe dekhā hai vo dīda-e-hairāñ hai

    sau baar tirā dāman hāthoñ meñ mire aayā

    jab aañkh khulī dekhā apnā garebāñ hai

    ik shorish-e-be-vasl ik ātish-e-be-parda

    āfat-kada-e-dil meñ ab kufr na īmāñ hai

    dhokā hai ye nazroñ bāzīcha hai lazzat

    jo kunj qafas meñ thā vo asl gulistāñ hai

    ik ġhuncha-e-afsurda ye dil haqīqat thī

    ye maujzanī ḳhuuñ rañgīni-e-paikāñ hai

    ye husn maujeñ haiñ josh-e-tabassum hai

    us shoḳh ke hoñToñ par ik barq larzāñ hai

    'asġhar' se mile lekin 'asġhar' ko nahīñ dekhā

    ash.ār meñ sunte haiñ kuchh kuchh vo numāyāñ hai

    ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai

    qatre mein samundar hai zarre mein bayaban hai

    hai ishq ki mahshar mein yun mast o KHiraman hai

    dozaKH ba-gareban hai firdaus ba-daman hai

    hai ishq ki shorish se ranai o zebai

    jo KHun uchhalta hai wo rang-e-gulistan hai

    phir garm-e-nawazish hai zau mehr-e-daraKHshan ki

    phir qatra-e-shabnam mein hangama-e-tufan hai

    ai paikar-e-mahbubi main kis se tujhe dekhun

    jis ne tujhe dekha hai wo dida-e-hairan hai

    sau bar tera daman hathon mein mere aaya

    jab aankh khuli dekha apna hi gareban hai

    ek shorish-e-be-wasl ek aatish-e-be-parda

    aafat-kada-e-dil mein ab kufr na iman hai

    dhoka hai ye nazron ka bazicha hai lazzat ka

    jo kunj qafas mein tha wo asl gulistan hai

    ek ghuncha-e-afsurda ye dil ki haqiqat thi

    ye maujzani KHun ki rangini-e-paikan hai

    ye husn ki maujen hain ya josh-e-tabassum hai

    us shoKH ke honTon par ek barq si larzan hai

    'asghar' se mile lekin 'asghar' ko nahin dekha

    ashaar mein sunte hain kuchh kuchh wo numayan hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye ishq ne dekha hai ye aql se pinhan hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now