Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye izn-e-am hai ai waizo aao wuzu kar lo

Rifat-al-Qasmi

ye izn-e-am hai ai waizo aao wuzu kar lo

Rifat-al-Qasmi

MORE BYRifat-al-Qasmi

    ye izn-e-ām hai ai vā.izo aao vuzū kar lo

    ḳhudā naam le kar bai.at-e-dast-e-subū kar lo

    guloñ chaak dāmānī pe kyuuñ jaate ho dīvāno

    ḳhud apne jigar ke chaak to pahle rafū kar lo

    ye bazm-e-mai hai yaañ piinā pilānā ibādat hai

    ijāzat hai agar chāho ḳhudā ko rū-ba-rū kar lo

    kalīm aao to mere saath tum bhī tūr-e-sīnā tak

    zarā is dushman-e-īmān-o-dīñ se guftugū kar lo

    ḳhudā jaane ye kaisī aag hai ham ne mohabbat meñ

    yahī dekhā ki dil ko ḳhaak kar lo lahū kar lo

    yuuñ rote rahoge umr bhar merī tarah 'rif.at'

    kahīñ aisā na ho tum bhī kisī aarzū kar lo

    ye izn-e-am hai ai waizo aao wuzu kar lo

    KHuda ka nam le kar baiat-e-dast-e-subu kar lo

    gulon ki chaak damani pe kyun jate ho diwano

    KHud apne hi jigar ke chaak to pahle rafu kar lo

    ye bazm-e-mai hai yan pina pilana hi ibaadat hai

    ijazat hai agar chaho KHuda ko ru-ba-ru kar lo

    kalim aao to mere sath tum bhi tur-e-sina tak

    zara is dushman-e-iman-o-din se guftugu kar lo

    KHuda jaane ye kaisi aag hai hum ne mohabbat mein

    yahi dekha ki dil ko KHak kar lo ya lahu kar lo

    yun hi rote rahoge umr bhar meri tarah 'rifat'

    kahin aisa na ho tum bhi kisi ki aarzu kar lo

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 642)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now