Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye izn-e-jast faqat ek bahana hota hai

Ataul Hasan

ye izn-e-jast faqat ek bahana hota hai

Ataul Hasan

MORE BYAtaul Hasan

    ye izn-e-jast faqat ik bahāna hotā hai

    kahāñ Thaharte haiñ vo jin ko jaanā hotā hai

    hamāre sar pe mohabbat itnā bojh na Daal

    hameñ ma.āsh dukh bhī uThānā hotā hai

    jahāñ pe soḳhta jazbāt rakhe jaate haiñ

    har ek dil meñ kahīñ sard-ḳhāna hotā hai

    hamāre tazkire sadiyoñ laboñ pe rahte haiñ

    hamāre din nahīñ hote zamāna hotā hai

    mo'tariz na ho itnā malāl-e-besh-bahā

    kabhī kabhī to hameñ muskurānā hotā hai

    uḌā le jaatī hai mujh ko vahāñ samay havā

    jahāñ kahīñ bhī mirā āb-o-dāna hotā hai

    kisī ko laatī hai rāhoñ meñ kachche ghar ḳhalish

    koī safar pe ḳhushī se ravāna hotā hai

    khule-kivāḌ alāmat haiñ aas lekin

    havā ke ruḳh pe diyā bhī jalānā hotā hai

    hamāre haal pe jaisī guzar rahī ho 'hasan'

    hameñ ravayya bhī vaisā banānā hotā hai

    ye izn-e-jast faqat ek bahana hota hai

    kahan Thaharte hain wo jin ko jaana hota hai

    hamare sar pe mohabbat ka itna bojh na Dal

    hamein maash ka dukh bhi uThana hota hai

    jahan pe soKHta jazbaat rakhe jate hain

    har ek dil mein kahin sard-KHana hota hai

    hamare tazkire sadiyon labon pe rahte hain

    hamare din nahin hote zamana hota hai

    tu mo'tariz na ho itna malal-e-besh-baha

    kabhi kabhi to hamein muskurana hota hai

    uDa le jati hai mujh ko wahan samay ki hawa

    jahan kahin bhi mera aab-o-dana hota hai

    kisi ko lati hai rahon mein kachche ghar ki KHalish

    koi safar pe KHushi se rawana hota hai

    khule-kiwaD alamat hain aas ki lekin

    hawa ke ruKH pe diya bhi jalana hota hai

    hamare haal pe jaisi guzar rahi ho 'hasan'

    hamein rawayya bhi waisa banana hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now