Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jamal kya ye jalal kya ye uruj kya ye zawal kya

Saadullah Shah

ye jamal kya ye jalal kya ye uruj kya ye zawal kya

Saadullah Shah

MORE BYSaadullah Shah

    ye jamāl kyā ye jalāl kyā ye uruuj kyā ye zavāl kyā

    vo jo peḌ jaḌ se ukhaḌ gayā use mausamoñ malāl kyā

    vo jo lamha lamha bikhar gayā vo jo apnī had se guzar gayā

    use fikr-e-shām-o-sahar ho kyā use ranjish-e-mah-o-sāl kyā

    vo jo be-niyāz ho gayā vo jo ek raaz ho gayā

    jise kuchh ġharaz nahīñ rahī use dast-e-harf-e-savāl kyā

    huā reza reza jo dil tirā use joḌ joḌ ke mat dikhā

    vo jo apne husn meñ mast hai use aa.ine ḳhayāl kyā

    vahī hijr raat baat hai vahī chāñd-tāroñ saath hai

    jo firāq se huā āshnā use ārzū-e-visāl kyā

    kisī aur se kareñ kyuuñ gila hameñ apne-āp se dukh milā

    vo jo dard-e-dil se ho āshnā use duniyā-bhar vabāl kyā

    vahī gard gard ġhubār hai vahī chāroñ or fishār hai

    vo jo ḳhud ko bhī nahīñ jāntā vo ho merā vāqif-e-hāl kyā

    use 'sād' kaisā batā.eñ ham use kis se ke milā.eñ ham

    vo to ḳhud sarāpā misāl hai ye gulāb kyā ye ġhazāl kyā

    ye jamal kya ye jalal kya ye uruj kya ye zawal kya

    wo jo peD jaD se ukhaD gaya use mausamon ka malal kya

    wo jo lamha lamha bikhar gaya wo jo apni had se guzar gaya

    use fikr-e-sham-o-sahar ho kya use ranjish-e-mah-o-sal kya

    wo jo be-niyaz sa ho gaya wo jo ek raaz sa ho gaya

    jise kuchh gharaz hi nahin rahi use dast-e-harf-e-sawal kya

    hua reza reza jo dil tera use joD joD ke mat dikha

    wo jo apne husn mein mast hai use aaine ka KHayal kya

    wahi hijr raat ki baat hai wahi chand-taron ka sath hai

    jo firaq se hua aashna use aarzu-e-visal kya

    kisi aur se karen kyun gila hamein apne-ap se dukh mila

    wo jo dard-e-dil se ho aashna use duniya-bhar ka wabaal kya

    wahi gard gard ghubar hai wahi chaaron or fishaar hai

    wo jo KHud ko bhi nahin jaanta wo ho mera waqif-e-haal kya

    use 'sad' kaisa bataen hum use kis se ja ke milaen hum

    wo to KHud sarapa misal hai ye gulab kya ye ghazal kya

    Source:

    Dhoop Ka Chand (Pg. 17)

    • Author: Saadullah Shah
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now