ye jo virane mein baiTha hua hai
ye jo vīrāne meñ baiThā huā hai
kisī āvāz se bichhḌā huā hai
talāfī is kī tanhā.ī se hogī
tirī mahfil meñ jo ghāTā huā hai
kahāñ tak miTTī samjhaute karā.e
hamārā chaak se jhagḌā huā hai
lachak thī hī nahīñ gardan meñ apnī
baḌī mushkil se ik sajda huā hai
mujhe piinā hai jis kuuze meñ paanī
abhī vo chaak pe rakkhā huā hai
sajātā rahtā huuñ jo shā'irī meñ
vo sab kuchh aap kā pheñkā huā hai
añdherī raat hai aur ek jugnū
fazā meñ duur tak phailā huā hai
palegī kis tarah nasl-e-musannif
kitāboñ meñ yahī likkhā huā hai
ye jo virane mein baiTha hua hai
kisi aawaz se bichhDa hua hai
talafi is ki tanhai se hogi
teri mahfil mein jo ghaTa hua hai
kahan tak miTTi samjhaute karae
hamara chaak se jhagDa hua hai
lachak thi hi nahin gardan mein apni
baDi mushkil se ek sajda hua hai
mujhe pina hai jis kuze mein pani
abhi wo chaak pe rakkha hua hai
sajata rahta hun jo sha'iri mein
wo sab kuchh aap ka phenka hua hai
andheri raat hai aur ek jugnu
faza mein dur tak phaila hua hai
palegi kis tarah nasl-e-musannif
kitabon mein yahi likkha hua hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 26)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.