ye kab chaha ki main mashhur ho jaun
ye kab chāhā ki maiñ mash.hūr ho jā.ūñ
bas apne aap ko manzūr ho jā.ūñ
nasīhat kar rahī hai aql kab se
ki maiñ dīvāngī se duur ho jā.ūñ
na bolūñ sach to kaisā ā.īna maiñ
jo bolūñ sach to chaknā-chūr ho jā.ūñ
hai mere haath meñ jab haath terā
ajab kyā hai jo maiñ maġhrūr ho jā.ūñ
bahāna koī to ai zindagī de
ki jiine ke liye majbūr ho jā.ūñ
sarāboñ se mujhe sairāb kar de
nashe meñ tishnagī ke chuur ho jā.ūñ
mire andar se gar duniyā nikal jaa.e
maiñ apne-āp meñ bharpūr ho jā.ūñ
ye kab chaha ki main mashhur ho jaun
bas apne aap ko manzur ho jaun
nasihat kar rahi hai aql kab se
ki main diwangi se dur ho jaun
na bolun sach to kaisa aaina main
jo bolun sach to chakna-chur ho jaun
hai mere hath mein jab hath tera
ajab kya hai jo main maghrur ho jaun
bahana koi to ai zindagi de
ki jine ke liye majbur ho jaun
sarabon se mujhe sairab kar de
nashe mein tishnagi ke chur ho jaun
mere andar se gar duniya nikal jae
main apne-ap mein bharpur ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.