Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kah do to duniya wale nile pile hote hain

Manzil Loha Theri

ye kah do to duniya wale nile pile hote hain

Manzil Loha Theri

MORE BYManzil Loha Theri

    ye kah do to duniyā vaale niile piile hote haiñ

    is duniyā ke sāñp-sañpole sab zahrīle hote haiñ

    ai mere mahbūb batā ye husn rangat kitne din

    patjhaḌ meñ girne se pahle patte piile hote haiñ

    ḳhud rakh dete haiñ bande sar jin talvāroñ par

    jaane ye kyā baat hai un ke nain haTīle hote haiñ

    tishna sairāb ho rindo maiḳhāne ḳhair manāo

    ashkoñ se mai se apne hoñT to giile hote haiñ

    naaz un ke jo aalam hai kaun sune aur kaun kahe

    ik pal darshan dene ko bhī lākhoñ hiile hote haiñ

    dil le kar jo ġham dete haiñ ulfat ke dīvānoñ ko

    pahle pahle ye zālim kitne sharmīle hote haiñ

    miit unhīñ ke hote haiñ sab jiit unhīñ hotī hai

    is duniyā meñ jin logoñ ke paas vasīle hote haiñ

    nafrat ḳhū ho jin se naḳhvat aa.e

    kaḌvī hotī haiñ bāteñ vo bol kasīle hote haiñ

    'manzil' kis ke pyaar sardī garmī mujh par guzrī hai

    rāteñ aag lagātī haiñ aur din barfīle hote haiñ

    ye kah do to duniya wale nile pile hote hain

    is duniya ke sanp-sanpole sab zahrile hote hain

    ai mere mahbub bata ye husn ki rangat kitne din

    patjhaD mein girne se pahle patte pile hote hain

    KHud hi rakh dete hain bande sar jin ki talwaron par

    jaane ye kya baat hai un ke nain haTile hote hain

    tishna ya sairab ho rindo maiKHane ki KHair manao

    ashkon se ya mai se apne honT to gile hote hain

    naz ka un ke jo aalam hai kaun sune aur kaun kahe

    ek pal darshan dene ko bhi lakhon hile hote hain

    dil le kar jo gham dete hain ulfat ke diwanon ko

    pahle pahle ye zalim kitne sharmile hote hain

    mit unhin ke hote hain sab jit unhin ki hoti hai

    is duniya mein jin logon ke pas wasile hote hain

    nafrat ki KHu ho ya jin se naKHwat ki si bu aae

    kaDwi hoti hain baaten wo bol kasile hote hain

    'manzil' kis ke pyar ki sardi garmi mujh par guzri hai

    raaten aag lagati hain aur din barfile hote hain

    Source:

    Bahar-e-Ghazal (Pg. 47)

    • Author: Manzil Loha Theri
      • Publisher: Manzil Loha Theri
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now