Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kaif-e-husn us pe ye masti shabab ki

Ameer Chand Bahar

ye kaif-e-husn us pe ye masti shabab ki

Ameer Chand Bahar

MORE BYAmeer Chand Bahar

    ye kaif-e-husn us pe ye mastī shabāb

    ye aap haiñ ki mauj hai koī sharāb

    suunī hai bazm-e-ālam-e-imkāñ tire baġhair

    zulmat hai raushnī bhī shab-e-māhtāb

    kyoñ merī laġhzishoñ pa zamāna hai ta.ana-zan

    sab laġhzisheñ muaaf haiñ ahd-e-shabāb

    zauq-e-salīm chāhiye shā.ir ke vāste

    hājat hai mai-kashī na fan par kitāb

    vo sard sard aaheñ vo aḳhtar-shumāriyāñ

    dilchaspiyāñ thiiñ ye mire ahd-e-shabāb

    jazbāt-e-husn-o-ishq se labrez ye ġhazal

    tasvīr hai kisī dil-e-ḳhāna-ḳharāb

    kaif-āfrīñ hai merā ġham-e-ishq ai 'bahār'

    lazzat na mujh se pūchh aise azaab

    ye kaif-e-husn us pe ye masti shabab ki

    ye aap hain ki mauj hai koi sharab ki

    suni hai bazm-e-alam-e-imkan tere baghair

    zulmat hai raushni bhi shab-e-mahtab ki

    kyon meri laghzishon pa zamana hai tana-zan

    sab laghzishen muaf hain ahd-e-shabab ki

    zauq-e-salim chahiye shair ke waste

    hajat hai mai-kashi ki na fan par kitab ki

    wo sard sard aahen wo aKHtar-shumariyan

    dilchaspiyan thin ye mere ahd-e-shabab ki

    jazbaat-e-husn-o-ishq se labrez ye ghazal

    taswir hai kisi dil-e-KHana-KHarab ki

    kaif-afrin hai mera gham-e-ishq ai 'bahaar'

    lazzat na mujh se puchh tu aise azab ki

    Source:

    Armughan-e-Bahar (Pg. 80)

    • Author: Ameer Chand Bahar
      • Publisher: National Academy, Dariyaganj, Delhi
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now