ye kaisa zulm main ‘umr-e-jawan pe kar aaya
ye kaisā zulm maiñ ‘umr-e-javāñ pe kar aayā
dil aayā bhī to ye kis nā-murād par aayā
vo kyā nigāh thī mujh ko jo kar ga.ī tanhā
vo kaisā dasht thā jis se ki maiñ guzar aayā
dinoñ ke baa'd use dekhā aur lagā jaise
dinoñ ke baa'd koī lauT kar ke ghar aayā
kisī ne haath baḌhāyā na mere girne par
bas ik parinda magar shāḳh se utar aayā
mujhe hī apnī vazāhat kī itnī jaldī thī
zarā sā rang chhiḌakte hī maiñ ubhar aayā
ye kaisa zulm main ‘umr-e-jawan pe kar aaya
dil aaya bhi to ye kis na-murad par aaya
wo kya nigah thi mujh ko jo kar gai tanha
wo kaisa dasht tha jis se ki main guzar aaya
dinon ke ba'd use dekha aur laga jaise
dinon ke ba'd koi lauT kar ke ghar aaya
kisi ne hath baDhaya na mere girne par
bas ek parinda magar shaKH se utar aaya
mujhe hi apni wazahat ki itni jaldi thi
zara sa rang chhiDakte hi main ubhar aaya
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 49)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.