Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kaisi wadi hai ye kaisa ek qabila hai

Shamim Shahzad

ye kaisi wadi hai ye kaisa ek qabila hai

Shamim Shahzad

MORE BYShamim Shahzad

    ye kaisī vaadī hai ye kaisā ik qabīla hai

    har ek jism samundar tarah niilā hai

    tanā huā jo kabhī rahtā thā kamāñ tarah

    usī badan har ik joḌ aaj Dhīlā hai

    bhulānā tum ko bahut muhāl hai pyāre

    tumhāre vāste jazba jo hai haTīlā hai

    ye kaise samjhūñ ki tum bhī ho ham-safar mere

    tumhāre shahr māhaul to rañgīlā hai

    hamārī aas kabhī TūTne nahīñ detā

    nazar se duur jo raste meñ ek Tiila hai

    na jaane kab mire a.asāb sard ho jaa.eñ

    dimāġh ḳhushk hai chehre rang piilā hai

    navāztā hai vahī aur chhīntā hai vahī

    koī bhī shaḳhs ho 'shahzād' ek hiila hai

    ye kaisi wadi hai ye kaisa ek qabila hai

    har ek jism samundar ki tarah nila hai

    tana hua jo kabhi rahta tha kaman ki tarah

    usi badan ka har ek joD aaj Dhila hai

    bhulana tum ko bahut hi muhaal hai pyare

    tumhaare waste jazba jo hai haTila hai

    ye kaise samjhun ki tum bhi ho ham-safar mere

    tumhaare shahr ka mahaul to rangila hai

    hamari aas kabhi TuTne nahin deta

    nazar se dur jo raste mein ek Tila hai

    na jaane kab mere aasab sard ho jaen

    dimagh KHushk hai chehre ka rang pila hai

    nawazta hai wahi aur chhinta hai wahi

    koi bhi shaKHs ho 'shahzad' ek hila hai

    Source:

    Erab (Pg. 53)

    • Author: Shamim Shahzad
      • Publisher: Shamim Shahzad
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now