ye karishme bhi hue husn ki bauchhaaron se
ye karishme bhī hue husn kī bauchhāroñ se
peḌ ban kar badan ugne lage dīvāroñ se
kyoñ na be-qāmatī-e-ḳhāk pe ronā aa.e
jhuk ke miltā hai falak shahr ke mīnāroñ se
kis kī bātoñ ne gale chhed diye haiñ apne
gardaneñ ham to bachā laa.e the talvāroñ se
ye dukāneñ to unheñ roktī rah jaatī haiñ
jaane kyoñ log guzar jaate haiñ bāzāroñ se
phir mujhe aane lagā tark-e-sukūnat kā ḳhayāl
naddiyāñ jaise utar aa.ī hoñ kohsāroñ se
tū ne in ko kisī qābil hī na samjhā varna
hurmat-e-ishq thī sab tere gunahgāroñ se
aa paḌī sahn meñ kyoñ us kī zarūrat 'tābish'
vo to kahtā thā ki ghar bante haiñ dīvāroñ se
ye karishme bhi hue husn ki bauchhaaron se
peD ban kar badan ugne lage diwaron se
kyon na be-qamati-e-KHak pe rona aae
jhuk ke milta hai falak shahr ke minaron se
kis ki baaton ne gale chhed diye hain apne
gardanen hum to bacha lae the talwaron se
ye dukanen to unhen rokti rah jati hain
jaane kyon log guzar jate hain bazaron se
phir mujhe aane laga tark-e-sukunat ka KHayal
naddiyan jaise utar aai hon kohsaron se
tu ne in ko kisi qabil hi na samjha warna
hurmat-e-ishq thi sab tere gunahgaron se
aa paDi sahn mein kyon us ki zarurat 'tabish'
wo to kahta tha ki ghar bante hain diwaron se
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 72)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.