ye kasak dil ki dil mein chubhi rah gai
ye kasak dil kī dil meñ chubhī rah ga.ī
zindagī meñ tumhārī kamī rah ga.ī
ek maiñ ek tum ek dīvār thī
zindagī aadhī aadhī baTī rah ga.ī
raat kī bhīgī bhīgī chhatoñ kī tarah
merī palkoñ pe thoḌī sī namī rah ga.ī
mere ghar kī taraf dhuup kī piiTh thī
aate aate idhar chāñdnī rah ga.ī
ret par āñsuoñ ne tire naam kī
jo kahānī likhī be-paḌhī rah ga.ī
ye kasak dil ki dil mein chubhi rah gai
zindagi mein tumhaari kami rah gai
ek main ek tum ek diwar thi
zindagi aadhi aadhi baTi rah gai
raat ki bhigi bhigi chhaton ki tarah
meri palkon pe thoDi si nami rah gai
mere ghar ki taraf dhup ki piTh thi
aate aate idhar chandni rah gai
ret par aansuon ne tere nam ki
jo kahani likhi be-paDhi rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.