Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye KHud bahal jaegi tabiat kisi ki koi kami nahin hai

Zehra Shah

ye KHud bahal jaegi tabiat kisi ki koi kami nahin hai

Zehra Shah

MORE BYZehra Shah

    ye ḳhud bahal jā.egī tabī.at kisī koī kamī nahīñ hai

    mujhe dilāsoñ kyā zarūrat mirī musībat na.ī nahīñ hai

    sunā bahut thā hamāre qisse sabhī jarīdoñ meñ chhap chuke haiñ

    meñ paḌh chukī huuñ ye saare column vo ik ḳhabar to lagī nahīñ hai

    ye ġham sharākat vo samjhe jo is aziyyat meñ mubtalā hai

    tum itne maġhrūr is liye ho tumhārī chāhat baTī nahīñ hai

    alag alag haiñ hamārī rāheñ hamārī mushkil juḌī huī hai

    mujhe masāfat ke haiñ masā.il use bhī manzil milī nahīñ hai

    tumhārā lahja tumhārī bātoñ saath dene se Dar rahā hai

    ye sab dikhāvā kar rahe ho tumheñ mohabbat huī nahīñ hai

    ye KHud bahal jaegi tabiat kisi ki koi kami nahin hai

    mujhe dilason ki kya zarurat meri musibat nai nahin hai

    suna bahut tha hamare qisse sabhi jaridon mein chhap chuke hain

    mein paDh chuki hun ye sare column wo ek KHabar to lagi nahin hai

    ye gham sharakat ka wo hi samjhe jo is aziyyat mein mubtala hai

    tum itne maghrur is liye ho tumhaari chahat baTi nahin hai

    alag alag hain hamari rahen hamari mushkil juDi hui hai

    mujhe masafat ke hain masail use bhi manzil mili nahin hai

    tumhaara lahja tumhaari baaton ka sath dene se Dar raha hai

    ye sab dikhawa hi kar rahe ho tumhein mohabbat hui nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now