Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis aalam mein apne ghar gae hum

Mohammad Naved Athar

ye kis aalam mein apne ghar gae hum

Mohammad Naved Athar

MORE BYMohammad Naved Athar

    ye kis aalam meñ apne ghar ga.e ham

    tirī mahfil se chashm-e-tar ga.e ham

    sharāfat hai ki ġhussa thuuk Daalā

    na samjho ye ki tum se Dar ga.e ham

    huā hai bā.is-e-lutf-o-karam kyā

    kahā us ne ki tum pe mar ga.e ham

    zamīñ bātil ke bhī pairoñ se niklī

    hathelī par jo le ke sar ga.e ham

    bahut pachhtā.e nādānī pe 'at.har'

    sarāboñ par bharosa kar ga.e ham

    ye kis aalam mein apne ghar gae hum

    teri mahfil se chashm-e-tar gae hum

    sharafat hai ki ghussa thuk Dala

    na samjho ye ki tum se Dar gae hum

    hua hai bais-e-lutf-o-karam kya

    kaha us ne ki tum pe mar gae hum

    zamin baatil ke bhi pairon se nikli

    hatheli par jo le ke sar gae hum

    bahut pachhtae nadani pe 'athar'

    sarabon par bharosa kar gae hum

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 438)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now