ye kis ada se chaman se bahaar guzri hai
ye kis adā se chaman se bahār guzrī hai
sulag sulag ke tamannā hazār guzrī hai
hayāt dil kī jo ik shab shumār kar bhī luuñ
vo ek shab hī bahut be-qarār guzrī hai
uḌā ke le jo ga.ī dil kī siskiyāñ bulbul
chaman chaman pe qayāmat hazār guzrī hai
sabā ne chhū jo liyā ḳhushbuoñ ke āñchal ko
jabīn-e-gul pe shikan nāgavār guzrī hai
ye kis maqām pe pahuñchī hai justujū dil kī
visāl rut thī magar sogvār guzrī hai
vafā udaas huī thī fareb khā khā kar
mirī nigāh se guzrī to mushk-bār guzrī hai
ye kis ada se chaman se bahaar guzri hai
sulag sulag ke tamanna hazar guzri hai
hayat dil ki jo ek shab shumar kar bhi lun
wo ek shab hi bahut be-qarar guzri hai
uDa ke le jo gai dil ki siskiyan bulbul
chaman chaman pe qayamat hazar guzri hai
saba ne chhu jo liya KHushbuon ke aanchal ko
jabin-e-gul pe shikan nagawar guzri hai
ye kis maqam pe pahunchi hai justuju dil ki
visal rut thi magar sogwar guzri hai
wafa udas hui thi fareb kha kha kar
meri nigah se guzri to mushk-bar guzri hai
- Book : al-aqraba magazine islamabad Pakistan quarterly-July-september-2015 (Pg. (شائع شدہ سہ ماہی الاقرباء اسلام آباد پاکستان شمارہ جولائی .ستمبر ۲۰۱۵))
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.