Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis guman pe tawaqqo hai ai bhale sahab

Shareef Ahmad Shareef

ye kis guman pe tawaqqo hai ai bhale sahab

Shareef Ahmad Shareef

MORE BYShareef Ahmad Shareef

    ye kis gumāñ pe tavaqqo hai ai bhale sāhab

    duā.eñ de bhī vahī jis ghar jale sāhab

    bas is liye ki havāoñ se khelnā sīkhe

    ham āñdhiyoñ meñ jalā kar diyā chale sāhab

    hamārā qatl kisī shab dāstāñ to nahīñ

    ye sāneha bhī huā aur din Dhale sāhab

    kabūtaroñ pe jhapaTne ḳhū kahāñ un meñ

    ki ye uqaab to zāġhoñ meñ haiñ pale sāhab

    badaltī rahtī hai qasr-o-lahad meñ ghar apne

    hayāt hai kabhī uupar kabhī tale sāhab

    hamāre mo.ajiza-e-fan se log hairāñ hoñ

    hameñ 'sharīf' ye ḳhvāhish na thī vale sāhab

    ye kis guman pe tawaqqo hai ai bhale sahab

    duaen de bhi wahi jis ka ghar jale sahab

    bas is liye ki hawaon se khelna sikhe

    hum aandhiyon mein jala kar diya chale sahab

    hamara qatl kisi shab ki dastan to nahin

    ye saneha bhi hua aur din Dhale sahab

    kabutaron pe jhapaTne ki KHu kahan un mein

    ki ye uqab to zaghon mein hain pale sahab

    badalti rahti hai qasr-o-lahad mein ghar apne

    hayat hai kabhi upar kabhi tale sahab

    hamare moajiza-e-fan se log hairan hon

    hamein 'sharif' ye KHwahish na thi wale sahab

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now