Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis ka jalwa-e-hairat-faza nigah mein hai

Shakur Javed

ye kis ka jalwa-e-hairat-faza nigah mein hai

Shakur Javed

MORE BYShakur Javed

    ye kis jalva-e-hairat-fazā nigāh meñ hai

    ki pā-e-shauq guzargāh-e-mehr-o-māh meñ hai

    hazār manzil-e-rāh-e-junūñ tamām huī

    hazār manzil-e-ahl-e-junūñ nigāh meñ hai

    bulandiyoñ se guzar kar ḳhirad haal na pūchh

    bas ik ġhubār-e-tahayyur liye nigāh meñ hai

    azīz-tar tirī bāteñ ki is sukūt ke saath

    tamām shoḳhī-e-lafz-o-bayāñ nigāh meñ hai

    faroġh-e-jalva-e-ummīd terī umr darāz

    siyāh raat hai sar par sahar nigāh meñ hai

    kis ehtimām se hai āmad-e-urūs-e-sahar

    ki āhaToñ tarannum tamām raah meñ hai

    kahāñ hai tāb-e-nazar ahl-e-dil mahfil meñ

    kise majāl-e-suḳhan un bārgāh meñ hai

    ye kis ka jalwa-e-hairat-faza nigah mein hai

    ki pa-e-shauq guzargah-e-mehr-o-mah mein hai

    hazar manzil-e-rah-e-junun tamam hui

    hazar manzil-e-ahl-e-junun nigah mein hai

    bulandiyon se guzar kar KHirad ka haal na puchh

    bas ek ghubar-e-tahayyur liye nigah mein hai

    aziz-tar teri baaten ki is sukut ke sath

    tamam shoKHi-e-lafz-o-bayan nigah mein hai

    farogh-e-jalwa-e-ummid teri umr daraaz

    siyah raat hai sar par sahar nigah mein hai

    kis ehtimam se hai aamad-e-urus-e-sahar

    ki aahaTon ka tarannum tamam rah mein hai

    kahan hai tab-e-nazar ahl-e-dil ki mahfil mein

    kise majal-e-suKHan un ki bargah mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now