Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis ke KHayal-e-nazuk se zehnon ka daricha raushan hai

Maikash Azmi

ye kis ke KHayal-e-nazuk se zehnon ka daricha raushan hai

Maikash Azmi

MORE BYMaikash Azmi

    ye kis ke ḳhayāl-e-nāzuk se zehnoñ darīcha raushan hai

    ye kis ke aks-e-tabassum se ābād diloñ darpan hai

    ehsās ke ġhunche khilte haiñ yādoñ hasīñ purvā.ī se

    har shab ke shagufta pahlū meñ ḳhvāboñ mahaktā gulshan hai

    ik husn-e-mujassam jab se āñkhoñ ne sarāpā chūmā hai

    kuchh hosh nahīñ mad.hosh hue kuchh aql-o-ḳhirad se an-ban hai

    ye rang-e-chaman ye bazm-e-suḳhan ye ālam-e-mastī raqs-o-tarab

    ham jām-o-subū ko chalkā.eñ jab raat rangīñ dāman hai

    is mahfil-e-ḳhūbāñ mai-kash kyā rang-o-samāñ hai mat pūchho

    alfāz zarrīñ bārish hai naġhmāt har-sū chhan-chhan hai

    ye kis ke KHayal-e-nazuk se zehnon ka daricha raushan hai

    ye kis ke aks-e-tabassum se aabaad dilon ka darpan hai

    ehsas ke ghunche khilte hain yaadon ki hasin purwai se

    har shab ke shagufta pahlu mein KHwabon ka mahakta gulshan hai

    ek husn-e-mujassam ka jab se aankhon ne sarapa chuma hai

    kuchh hosh nahin madhosh hue kuchh aql-o-KHirad se an-ban hai

    ye rang-e-chaman ye bazm-e-suKHan ye aalam-e-masti raqs-o-tarab

    hum jam-o-subu ko chalkaen jab raat ka rangin daman hai

    is mahfil-e-KHuban ka mai-kash kya rang-o-saman hai mat puchho

    alfaz ki zarrin barish hai naghmat ki har-su chhan-chhan hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now