Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji

Qateel Shifai

ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    Interesting Fact

    Ibn-e-Insha passed away within a month after writing ''Insha ji uTho ab kuuch karo". Qateel’s poem referring to Ibn e insha, deepens our grief over the latter's untimely demise.

    ye kis ne kahā tum kuuch karo bāteñ na banāo inshā-jī

    ye shahr tumhārā apnā hai ise chhoḌ na jaao inshā-jī

    jitne bhī yahāñ ke baasī haiñ sab ke sab tum se pyaar kareñ

    kyā un se bhī muñh pheroge ye zulm na Dhaao inshā-jī

    kyā soch ke tum ne sīñchī thī ye kesar kyārī chāhat

    tum jin ko hañsāne aa.e the un ko na rulāo inshā-jī

    tum laakh siyāhat ke ho dhanī ik baat hamārī bhī maano

    koī ke jahāñ se aatā nahīñ us des na jaao inshā-jī

    bikhrāte ho sonā harfoñ tum chāñdī jaise kāġhaz par

    phir in meñ apne zaḳhmoñ mat zahr milāo inshā-jī

    ik raat to kyā vo hashr talak rakkhegī khulā darvāze ko

    kab lauT ke tum ghar aaoge sajnī ko batāo inshā-jī

    nahīñ sirf 'qatīl' baat yahāñ kahīñ 'sāhir' hai kahīñ 'ālī' hai

    tum apne purāne yāroñ se dāman na chuḌāo inshā-jī

    ye kis ne kaha tum kuch karo baaten na banao insha-ji

    ye shahr tumhaara apna hai ise chhoD na jao insha-ji

    jitne bhi yahan ke basi hain sab ke sab tum se pyar karen

    kya un se bhi munh pheroge ye zulm na Dhao insha-ji

    kya soch ke tum ne sinchi thi ye kesar kyari chahat ki

    tum jin ko hansane aae the un ko na rulao insha-ji

    tum lakh siyahat ke ho dhani ek baat hamari bhi mano

    koi ja ke jahan se aata nahin us des na jao insha-ji

    bikhraate ho sona harfon ka tum chandi jaise kaghaz par

    phir in mein apne zaKHmon ka mat zahr milao insha-ji

    ek raat to kya wo hashr talak rakkhegi khula darwaze ko

    kab lauT ke tum ghar aaoge sajni ko batao insha-ji

    nahin sirf 'qatil' ki baat yahan kahin 'sahir' hai kahin 'ali' hai

    tum apne purane yaron se daman na chuDao insha-ji

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Salman Alvi

    Salman Alvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now