Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti

Mohammad Abbas Safiir

ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti

Mohammad Abbas Safiir

MORE BYMohammad Abbas Safiir

    ye lau kaisī hai jo ik saañs bhī maddham nahīñ hotī

    bhulāne par bhī zālim yaad us kam nahīñ hotī

    ye matlab-āshnā duniyā ye zālim bevafā duniyā

    sharīk-e-aish kar liije sharīk-e-ġham nahīñ hotī

    adam ke jaane vaale qāfile din-rāt chalte haiñ

    magar is anjuman dilkashī kuchh kam nahīñ hotī

    na pūchh ai ham-nashīñ rūdād-hā-e-shām-e-ġham ham se

    qayāmat sahar hotī hai shām-e-ġham nahīñ hotī

    bhulāyā hai mujhe ne tirī barham-mizājī ne

    magar bedard terī yaad phir bhī kam nahīñ hotī

    nahīñ vāqif ai dil ātish-e-soz-e-mohabbat se

    ye daulat jis qadar aatī hai ghar meñ kam nahīñ hotī

    'safīr' ab tak to rūdād-e-mohabbat ḳhaam hai terī

    abhī to aañkh bhī fart-e-alam se nam nahīñ hotī

    ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti

    bhulane par bhi zalim yaad us ki kam nahin hoti

    ye matlab-ashna duniya ye zalim bewafa duniya

    sharik-e-aish kar lije sharik-e-gham nahin hoti

    adam ke jaane wale qafile din-raat chalte hain

    magar is anjuman ki dilkashi kuchh kam nahin hoti

    na puchh ai ham-nashin rudad-ha-e-sham-e-gham hum se

    qayamat ki sahar hoti hai sham-e-gham nahin hoti

    bhulaya hai mujhe tu ne teri barham-mizaji ne

    magar bedard teri yaad phir bhi kam nahin hoti

    nahin waqif tu ai dil aatish-e-soz-e-mohabbat se

    ye daulat jis qadar aati hai ghar mein kam nahin hoti

    'safir' ab tak to rudad-e-mohabbat KHam hai teri

    abhi to aankh bhi fart-e-alam se nam nahin hoti

    Source:

    Shama-e-Khuloos (Pg. 108)

    • Author: Mohammad Abbas Safiir
      • Edition: 1973
      • Publisher: Mohammad Abbas Safiir
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now