Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mai-KHana bara-e-mai-kashan hota to kya hota

Hafizullah Khan Badr

ye mai-KHana bara-e-mai-kashan hota to kya hota

Hafizullah Khan Badr

MORE BYHafizullah Khan Badr

    ye mai-ḳhāna barā-e-mai-kashāñ hotā to kyā hotā

    unhīñ ke vāste pīr-e-muġhāñ hotā to kyā hotā

    luTā daulat-e-hosh-o-ḳhirad to mudda'ā paayā

    hameñ andesha-e-sūd-o-ziyāñ hotā to kyā hotā

    hameñ to āzmāyā tum ne aur sābit-qadam paayā

    raqīb-e-rū-siyah imtihāñ hotā to kyā hotā

    sarāpā zīnat-e-bazm-e-raqībāñ ban ke baiThe ho

    kabhī aisā barā-e-dostāñ hotā to kyā hotā

    na 'qaisar' hai na 'kaifī' hai na 'āsī' hai na 'shā.eq' hai

    koī ab shā.ir-e-sho.ala-bayāñ hotā to kyā hotā

    bisāt-e-āshiyāñ kyā barq ye to chaar tinke haiñ

    tirī zad meñ pa saarā gulsitāñ hotā to kyā hotā

    ye mai-KHana bara-e-mai-kashan hota to kya hota

    unhin ke waste pir-e-mughan hota to kya hota

    luTa di daulat-e-hosh-o-KHirad to mudda'a paya

    hamein andesha-e-sud-o-ziyan hota to kya hota

    hamein to aazmaya tum ne aur sabit-qadam paya

    raqib-e-ru-siyah ka imtihan hota to kya hota

    sarapa zinat-e-bazm-e-raqiban ban ke baiThe ho

    kabhi aisa bara-e-dostan hota to kya hota

    na 'qaisar' hai na 'kaifi' hai na 'asi' hai na 'shaeq' hai

    koi ab shair-e-shoala-bayan hota to kya hota

    bisat-e-ashiyan kya barq ye to chaar tinke hain

    teri zad mein pa sara gulsitan hota to kya hota

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 51)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now