ye main jo tera ho kar bhi tere jaisa nahin lagta
ye maiñ jo terā ho kar bhī tire jaisā nahīñ lagtā
sharīk-e-husn huuñ aur shirk kā maarā nahīñ lagtā
isī ḳhātir nahīñ rahtī yahāñ ham-zād tanhā.ī
mirā kamra use darvesh kā hujra nahīñ lagtā
maiñ terī guftugū par kis tarah pyāre yaqīñ kar luuñ
ki tere lafz haiñ lekin tirā lahja nahīñ lagtā
bahut achchhā bahut achchhā bahut achchhā hai tū lekin
tujhe koī kahe achchhā mujhe achchhā nahīñ lagtā
tirī dil-dādgī meñ to nahīñ zarra barābar shak
magar maiñ kyā karūñ pyāre mujhe sadqa nahīñ lagtā
kahīñ aisā na ho dhoke se maiñ us par qadam rakh duuñ
ye dariyā bah rahā hai aur mujhe dariyā nahīñ lagtā
ye main jo tera ho kar bhi tere jaisa nahin lagta
sharik-e-husn hun aur shirk ka mara nahin lagta
isi KHatir nahin rahti yahan ham-zad tanhai
mera kamra use darwesh ka hujra nahin lagta
main teri guftugu par kis tarah pyare yaqin kar lun
ki tere lafz hain lekin tera lahja nahin lagta
bahut achchha bahut achchha bahut achchha hai tu lekin
tujhe koi kahe achchha mujhe achchha nahin lagta
teri dil-dadgi mein to nahin zarra barabar shak
magar main kya karun pyare mujhe sadqa nahin lagta
kahin aisa na ho dhoke se main us par qadam rakh dun
ye dariya bah raha hai aur mujhe dariya nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.