Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye maine mana ki pahra hai saKHt raaton ka

Sarfraz Nawaz

ye maine mana ki pahra hai saKHt raaton ka

Sarfraz Nawaz

MORE BYSarfraz Nawaz

    ye maiñ ne maanā ki pahra hai saḳht rātoñ

    yahīñ se niklegā phir qāfila charāġhoñ

    yuuñ ḳhushbuoñ meñ Dubo.e hue rakhūñ kab tak

    gunāh kyuuñ na maiñ kar luuñ qubūl hāthoñ

    charāġh-pā hai mirī niiñd in dinoñ mujh se

    maiñ koī shahr basāne lagā thā ḳhvāboñ

    hiran chaukḌī bharne lagegī har dhaḌkan

    jo zikr chheḌ duuñ us ġhazāl āñkhoñ

    ḳhumār o kaif-o-surūr-o-nashāt aalam

    maiñ qarz-dār bahut huuñ tumhārī bāhoñ

    ai din raushnī de kar ke is ke badle meñ

    hisāb maañg na mujh se siyāh rātoñ

    badan-sarā.e meñ Thahrā huā musāfir huuñ

    chukā rahā huuñ kirāya maiñ chand sāñsoñ

    ye main ne mana ki pahra hai saKHt raaton ka

    yahin se niklega phir qafila charaghon ka

    yun KHushbuon mein Duboe hue rakhun kab tak

    gunah kyun na main kar lun qubul hathon ka

    charagh-pa hai meri nind in dinon mujh se

    main koi shahr basane laga tha KHwabon ka

    hiran si chaukDi bharne lagegi har dhaDkan

    jo zikr chheD dun us ki ghazal aankhon ka

    KHumar o kaif-o-surur-o-nashat ka aalam

    main qarz-dar bahut hun tumhaari bahon ka

    ai din tu raushni de kar ke is ke badle mein

    hisab mang na mujh se siyah raaton ka

    badan-sarae mein Thahra hua musafir hun

    chuka raha hun kiraya main chand sanson ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now