Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye marhala hai mere aazmae jaane ka

Khawer Eijaz

ye marhala hai mere aazmae jaane ka

Khawer Eijaz

MORE BYKhawer Eijaz

    ye marhala hai mire āzmā.e jaane

    milā hai hukm mujhe kashtiyāñ jalāne

    bahāna DhūñD rahe haiñ tamām ahl-e-sitam

    fasīl-e-shahr-e-vafā meñ naqab lagāne

    baḌe sukūn se soī hai aaj ḳhilqat-e-shahr

    manā ke jashn charāġhoñ lau bujhāne

    havā-e-shahr jab ho ga.ī ḳhilāf mire

    use bhī aa gayā fan uñgliyāñ uThāne

    mire vajūd meñ zinda hai shaukat-e-māzī

    maiñ ik sutūn huuñ guzre hue zamāne

    rukī huī hai lab-e-ḳhushk par hayāt buuñd

    phir us ke ba.ad to manzar hai Duub jaane

    safar shaam mirī zindagī ke māthe par

    bas ik sitāra tire nuur āstāne

    ye marhala hai mere aazmae jaane ka

    mila hai hukm mujhe kashtiyan jalane ka

    bahana DhunD rahe hain tamam ahl-e-sitam

    fasil-e-shahr-e-wafa mein naqab lagane ka

    baDe sukun se soi hai aaj KHilqat-e-shahr

    mana ke jashn charaghon ki lau bujhane ka

    hawa-e-shahr hi jab ho gai KHilaf mere

    use bhi aa gaya fan ungliyan uThane ka

    mere wajud mein zinda hai shaukat-e-mazi

    main ek sutun hun guzre hue zamane ka

    ruki hui hai lab-e-KHushk par hayat ki bund

    phir us ke baad to manzar hai Dub jaane ka

    safar ki sham meri zindagi ke mathe par

    bas ek sitara tere nur aastane ka

    Source:

    Urdu Adab (Pg. 47)

    • Author: Iqbal Hussain
      • Edition: Jan, Feb. Mar 1996
      • Publisher: Iqbal Hussain Publishers
      • Year of Publication: Jan, Feb. Mar 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now