ye mat puchho ki kaisa aadmi hun
ye mat pūchho ki kaisā aadmī huuñ
karoge yaad aisā aadmī huuñ
mirā nām-o-nasab kyā pūchhte ho
zalīl-o-ḳhvār-o-rusvā aadmī huuñ
ta'āruf aur kyā is ke sivā ho
ki maiñ bhī aap jaisā aadmī huuñ
zamāne ke jhameloñ se mujhe kyā
mirī jaañ maiñ tumhārā aadmī huuñ
chale aaya karo merī taraf bhī
mohabbat karne vaalā aadmī huuñ
'shu'ūr' aa jaao mere saath lekin
maiñ ik bhaTkā huā sā aadmī huuñ
ye mat puchho ki kaisa aadmi hun
karoge yaad aisa aadmi hun
mera nam-o-nasab kya puchhte ho
zalil-o-KHwar-o-ruswa aadmi hun
ta'aruf aur kya is ke siwa ho
ki main bhi aap jaisa aadmi hun
zamane ke jhamelon se mujhe kya
meri jaan main tumhaara aadmi hun
chale aaya karo meri taraf bhi
mohabbat karne wala aadmi hun
'shu'ur' aa jao mere sath lekin
main ek bhaTka hua sa aadmi hun
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 27)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.