Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mat samajh ki chand-sitaron ke sath hun

Kaifi Sanbhali

ye mat samajh ki chand-sitaron ke sath hun

Kaifi Sanbhali

MORE BYKaifi Sanbhali

    ye mat samajh ki chāñd-sitāroñ ke saath huuñ

    sūraj nahīñ hai baa'd meñ jis ke vo raat huuñ

    jo dostī farz nibhāne meñ kaT gayā

    maiñ ḳhaak par paḌā vo mohabbat haat huuñ

    ye tere mere biich nahīñ jang āḳhirī

    bhī abhī hayāt hai maiñ bhī hayāt huuñ

    ahbāb mujh ko chhoḌ rahe haiñ to chhoḌ jaa.eñ

    maiñ aap apnī zaat meñ ik kā.enāt huuñ

    ye log mujh ko zahr banāne pe haiñ musir

    varna mizāj se to maiñ āb-e-hayāt huuñ

    qatre se bhī huuñ kam ye samundar inkisār

    qatre ko ye gumāñ ki samundar-sifāt huuñ

    'kaifī' maiñ jaise apne buzurgoñ huuñ asā

    bachchoñ bhī kitāb qalam huuñ davāt huuñ

    ye mat samajh ki chand-sitaron ke sath hun

    suraj nahin hai ba'd mein jis ke wo raat hun

    jo dosti ka farz nibhane mein kaT gaya

    main KHak par paDa wo mohabbat ka hat hun

    ye tere mere bich nahin jang aaKHiri

    tu bhi abhi hayat hai main bhi hayat hun

    ahbab mujh ko chhoD rahe hain to chhoD jaen

    main aap apni zat mein ek kaenat hun

    ye log mujh ko zahr banane pe hain musir

    warna mizaj se to main aab-e-hayat hun

    qatre se bhi hun kam ye samundar ka inkisar

    qatre ko ye guman ki samundar-sifat hun

    'kaifi' main jaise apne buzurgon ka hun asa

    bachchon ki bhi kitab qalam hun dawat hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now