Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mausam faslon ka hai to be-shak fasla rakhna

Anwar Pasha

ye mausam faslon ka hai to be-shak fasla rakhna

Anwar Pasha

MORE BYAnwar Pasha

    ye mausam fāsloñ hai to be-shak fāsla rakhnā

    magar dil meñ mohabbat ke darīchoñ ko khulā rakhnā

    añdheroñ ke muqaddar meñ sahar se maat likkhī hai

    ye shab bhar ḳhudā.ī hai charāġhoñ ko jalā rakhnā

    qafas tīliyāñ parvāz-e-hur kab rok pā.eñgī

    jigar meñ azm-e-kāmil to nigāhoñ meñ fazā rakhnā

    ye maanā haq rasta daar se ho kar guzartā hai

    magar sābit-qadam bante haiñ ġhāzī hausla rakhnā

    qalam-rau thā jo shāhīñ vo ab kargas bastī hai

    palaT saktī hai phir baazī azā.em ko jagā rakhnā

    ye mausam faslon ka hai to be-shak fasla rakhna

    magar dil mein mohabbat ke darichon ko khula rakhna

    andheron ke muqaddar mein sahar se mat likkhi hai

    ye shab bhar ki KHudai hai charaghon ko jala rakhna

    qafas ki tiliyan parwaz-e-hur kab rok paengi

    jigar mein azm-e-kaamil to nigahon mein faza rakhna

    ye mana haq ka rasta dar se ho kar guzarta hai

    magar sabit-qadam bante hain ghazi hausla rakhna

    qalam-rau tha jo shahin ka wo ab kargas ki basti hai

    palaT sakti hai phir bazi azaem ko jaga rakhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now