Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye maut-o-adam kaun-o-makan aur hi kuchh hai

Firaq Gorakhpuri

ye maut-o-adam kaun-o-makan aur hi kuchh hai

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    ye maut-o-adam kaun-o-makāñ aur kuchh hai

    sun le ki mirā nām-o-nishāñ aur kuchh hai

    itnā to yaqīñ hai ki vahī haiñ tirī āñkheñ

    is par bhī magar vahm-o-gumāñ aur kuchh hai

    sho.aloñ meñ vo andāz kahāñ soz-e-nihāñ ke

    uThtā hai jo dil se vo dhuāñ aur kuchh hai

    ik kaifiyat-e-rāz hai ġham hai na masarrat

    is bazm-e-mohabbat meñ samāñ aur kuchh hai

    jo marhala-e-qurbat-o-dūrī se guzar jaa.e

    sunte haiñ ki vo jazb-e-nihāñ aur kuchh hai

    dard ke naġhmoñ meñ vahī hai tirī āvāz

    parda-e-sāz-e-rag-e-jāñ aur kuchh hai

    ye niiñd jhoñkā to nahīñ be-ḳhudī-e-ishq

    hushyār ki vo ḳhvāb-e-girāñ aur kuchh hai

    ab maut bhī hai gard-rah-e-kūcha-e-jānāñ

    un manziloñ meñ umr-e-ravāñ aur kuchh hai

    achchhe haiñ jahāñ haiñ magar ai dāman-e-jānāñ

    paate haiñ jo tujh meñ vo amaañ aur kuchh hai

    bijlī ke chamakne meñ kahāñ ishq garmī

    vo shola-e-larzāñ-o-tapāñ aur kuchh hai

    jo zaḳhm khilā de jo mirā rañg uḌā de

    vo fasl-e-gul o fasl-e-ḳhizāñ aur kuchh hai

    ik ḳhvāb-e-parīshāñ se haiñ is daur ke āsār

    hushyār ki ab rañg-e-jahāñ aur kuchh hai

    ik chiiz hai nairañgī-e-rudād-e-mohabbat

    lekin ba-hadīs-e-digarāñ aur kuchh hai

    shā.ir haiñ 'firāq' aur bhī is daur meñ lekin

    ye rañg-e-bayāñ rañg-e-zabāñ aur kuchh hai

    ye maut-o-adam kaun-o-makan aur hi kuchh hai

    sun le ki mera nam-o-nishan aur hi kuchh hai

    itna to yaqin hai ki wahi hain teri aankhen

    is par bhi magar wahm-o-guman aur hi kuchh hai

    shoalon mein wo andaz kahan soz-e-nihan ke

    uThta hai jo dil se wo dhuan aur hi kuchh hai

    ek kaifiyat-e-raaz hai gham hai na masarrat

    is bazm-e-mohabbat mein saman aur hi kuchh hai

    jo marhala-e-qurbat-o-duri se guzar jae

    sunte hain ki wo jazb-e-nihan aur hi kuchh hai

    ya dard ke naghmon mein wahi hai teri aawaz

    ya parda-e-saz-e-rag-e-jaan aur hi kuchh hai

    ye nind ka jhonka to nahin be-KHudi-e-ishq

    hushyar ki wo KHwab-e-giran aur hi kuchh hai

    ab maut bhi hai gard-rah-e-kucha-e-jaanan

    un manzilon mein umr-e-rawan aur hi kuchh hai

    achchhe hain jahan hain magar ai daman-e-jaanan

    pate hain jo tujh mein wo aman aur hi kuchh hai

    bijli ke chamakne mein kahan ishq ki garmi

    wo shola-e-larzan-o-tapan aur hi kuchh hai

    jo zaKHm khila de jo mera rang uDa de

    wo fasl-e-gul o fasl-e-KHizan aur hi kuchh hai

    ek KHwab-e-parishan se hain is daur ke aasar

    hushyar ki ab rang-e-jahan aur hi kuchh hai

    ek chiz hai nairangi-e-rudad-e-mohabbat

    lekin ba-hadis-e-digaran aur hi kuchh hai

    shair hain 'firaq' aur bhi is daur mein lekin

    ye rang-e-bayan rang-e-zaban aur hi kuchh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now