Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mere samne shisha laga diya kis ne

Aqib Jawed

ye mere samne shisha laga diya kis ne

Aqib Jawed

MORE BYAqib Jawed

    ye mere sāmne shīsha lagā diyā kis ne

    ye mujh ko aaj mujhī se milā diyā kis ne

    vo apne chehre DhūñDhe hai daaġh shīshe meñ

    hai daaġh chāñd pe us ko batā diyā kis ne

    vo jis ke ashkoñ se puurī zamīn giilī hai

    havā se pūchho ghaTā ko rulā diyā kis ne

    thā qaid dil parinda jo un āñkhoñ meñ

    nazar ye un se milā kar uḌā diyā kis ne

    maiñ ek khoTā huuñ sikka parakhne vaalo gar

    mujhe bāzār meñ kar chalā diyā kis ne

    marīz-e-ishq huuñ dīdār merī hasrat hai

    vo pūchhte haiñ ke pāgal banā diyā kis ne

    kisī royā na mayyat pe to kabhī 'āqib'

    ye yaad aa.ī hai kis rulā diyā kis ne

    ye mere samne shisha laga diya kis ne

    ye mujh ko aaj mujhi se mila diya kis ne

    wo apne chehre ka DhunDhe hai dagh shishe mein

    hai dagh chand pe us ko bata diya kis ne

    wo jis ke ashkon se puri zamin gili hai

    hawa se puchho ghaTa ko rula diya kis ne

    tha qaid dil ka parinda jo un ki aankhon mein

    nazar ye un se mila kar uDa diya kis ne

    main ek khoTa hun sikka parakhne walo gar

    mujhe bazar mein la kar chala diya kis ne

    mariz-e-ishq hun didar meri hasrat hai

    wo puchhte hain ke pagal bana diya kis ne

    kisi ki roya na mayyat pe to kabhi 'aqib'

    ye yaad aai hai kis ki rula diya kis ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now