ye na samjho kabhi dagha denge
ye na samjho kabhī daġhā deñge
ham tumheñ ek din bhulā deñge
ḳhud hī kāsa-ba-dast haiñ yaaro
phir batāo ki tum ko kyā deñge
rū-e-raushan pe jab girā parda
pyaar se ham use haTā deñge
zulm jabr-o-sitam kī āñdhī ko
husn-e-aḳhlāq se miTā deñge
shahr meñ nafratoñ ke ai 'ḳhālid'
diip ulfat ke ham jalā deñge
ye na samjho kabhi dagha denge
hum tumhein ek din bhula denge
KHud hi kasa-ba-dast hain yaro
phir batao ki tum ko kya denge
ru-e-raushan pe jab gira parda
pyar se hum use haTa denge
zulm jabr-o-sitam ki aandhi ko
husn-e-aKHlaq se miTa denge
shahr mein nafraton ke ai 'KHalid'
dip ulfat ke hum jala denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.