aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nisabon mein likhi aur likhai na gai

Hashim Raza Jalalpuri

ye nisabon mein likhi aur likhai na gai

Hashim Raza Jalalpuri

MORE BYHashim Raza Jalalpuri

    ye nisāboñ meñ likhī aur likhā.ī na ga.ī

    zindagī ham ko kitāboñ meñ paḌhā.ī na ga.ī

    ek-tarfa bhī nibhāte haiñ nibhāne vaale

    tujh se do-tarfa mohabbat bhī nibhā.ī na ga.ī

    yuuñ mirā hāfiza kamzor bahut hai mujh se

    ek laḌkī hai jo dillī bhulā.ī na ga.ī

    us ke chehre pe numāyāñ haiñ mire hijr ke daaġh

    allāh rakhe use kaise sar-e-ā.īna ga.ī

    jism pyaas kisī taur bujhā lete haiñ

    ruuh pyaas magar ham se bujhā.ī na ga.ī

    bhuuk ugne lagī gandum jagah khetoñ meñ

    hākim-e-vaqt tirī harza-sarā.ī na ga.ī

    naqsha-e-dahr meñ do mulk haiñ aise jin meñ

    muddatoñ ba.ad bhī sarhad laḌā.ī na ga.ī

    bānū-e-shahar-e-suḳhan 'mīr' boyā kaaTā

    tere 'hāshim' se na.ī fasl ugaa.ī na ga.ī

    ye nisabon mein likhi aur likhai na gai

    zindagi hum ko kitabon mein paDhai na gai

    ek-tarfa bhi nibhate hain nibhane wale

    tujh se do-tarfa mohabbat bhi nibhai na gai

    yun mera hafiza kamzor bahut hai mujh se

    ek laDki hai jo dilli ki bhulai na gai

    us ke chehre pe numayan hain mere hijr ke dagh

    allah rakhe use kaise sar-e-aina gai

    jism ki pyas kisi taur bujha lete hain

    ruh ki pyas magar hum se bujhai na gai

    bhuk ugne lagi gandum ki jagah kheton mein

    hakim-e-waqt teri harza-sarai na gai

    naqsha-e-dahr mein do mulk hain aise jin mein

    muddaton baad bhi sarhad ki laDai na gai

    banu-e-shahar-e-suKHan 'mir' ka boya kaTa

    tere 'hashim' se nai fasl ugai na gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now