Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye numaish ye tamashe nahin achchhe lagte

Mujeeb Shehzar

ye numaish ye tamashe nahin achchhe lagte

Mujeeb Shehzar

MORE BYMujeeb Shehzar

    ye numā.ish ye tamāshe nahīñ achchhe lagte

    hoñ masā.il to nazāre nahīñ achchhe lagte

    surḳh lab surma.ī āñkheñ ye sañvarnā sajnā

    muflisī meñ ye dikhāve nahīñ achchhe lagte

    mujhe bhuuk bhī sah lene aadī kar de

    ab mahājan ke taqāze nahīñ achchhe lagte

    merī ġhurbat ne mujhe baḳhshā añdheroñ mizāj

    varna kis ko ye ujāle nahīñ achchhe lagte

    ye to sach hai ki vo iḳhlās se miltā hai bahut

    phir bhī kuchh us ke irāde nahīñ achchhe lagte

    rut badalte har ik zehn badal jaatā hai

    dhuup ko rokte saa.e nahīñ achchhe lagte

    yahī behtar hai kamāñ nasl-e-javāñ ko de do

    būḌhe hāthoñ se nishāne nahīñ achchhe lagte

    merī sadiyoñ bharam TuuT chukā hai 'shahzar'

    ab ye hañste hue lamhe nahīñ achchhe lagte

    ye numaish ye tamashe nahin achchhe lagte

    hon masail to nazare nahin achchhe lagte

    surKH lab surmai aankhen ye sanwarna sajna

    muflisi mein ye dikhawe nahin achchhe lagte

    tu mujhe bhuk bhi sah lene ka aadi kar de

    ab mahajan ke taqaze nahin achchhe lagte

    meri ghurbat ne mujhe baKHsha andheron ka mizaj

    warna kis ko ye ujale nahin achchhe lagte

    ye to sach hai ki wo iKHlas se milta hai bahut

    phir bhi kuchh us ke irade nahin achchhe lagte

    rut badalte hi har ek zehn badal jata hai

    dhup ko rokte sae nahin achchhe lagte

    yahi behtar hai kaman nasl-e-jawan ko de do

    buDhe hathon se nishane nahin achchhe lagte

    meri sadiyon ka bharam TuT chuka hai 'shahzar'

    ab ye hanste hue lamhe nahin achchhe lagte

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now