Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi

Allama Iqbal

ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    Baal-e-Gibril

    ye payām de ga.ī hai mujhe bād-e-sub.h-gāhī

    ki ḳhudī ke ārifoñ hai maqām pādshāhī

    tirī zindagī isī se tirī aabrū isī se

    jo rahī ḳhudī to shāhī na rahī to rū-siyāhī

    na diyā nishān-e-manzil mujhe ai hakīm ne

    mujhe kyā gila ho tujh se na rah-nashīñ na raahī

    mire halqa-e-suḳhan meñ abhī zer-e-tarbiyat haiñ

    vo gadā ki jānte haiñ rah-o-rasm-e-kaj-kulāhī

    ye muāmle haiñ nāzuk jo tirī razā ho kar

    ki mujhe to ḳhush na aayā ye tarīq-e-ḳhānqāhī

    humā hai shikārī abhī ibtidā hai terī

    nahīñ maslahat se ḳhālī ye jahān-e-murġh-o-māhī

    arab ho ajam ho tirā ilaah illā

    luġhat-e-ġharīb jab tak tirā dil na de gavāhī

    ye payam de gai hai mujhe baad-e-subh-gahi

    ki KHudi ke aarifon ka hai maqam padshahi

    teri zindagi isi se teri aabru isi se

    jo rahi KHudi to shahi na rahi to ru-siyahi

    na diya nishan-e-manzil mujhe ai hakim tu ne

    mujhe kya gila ho tujh se tu na rah-nashin na rahi

    mere halqa-e-suKHan mein abhi zer-e-tarbiyat hain

    wo gada ki jaante hain rah-o-rasm-e-kaj-kulahi

    ye muamle hain nazuk jo teri raza ho tu kar

    ki mujhe to KHush na aaya ye tariq-e-KHanqahi

    tu huma ka hai shikari abhi ibtida hai teri

    nahin maslahat se KHali ye jahan-e-murgh-o-mahi

    tu arab ho ya ajam ho tera la ilah illa

    lughat-e-gharib jab tak tera dil na de gawahi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Shafqat Amanat Ali

    Shafqat Amanat Ali

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now