Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye piran-e-kalisa-o-haram ai wa-e-majburi

Allama Iqbal

ye piran-e-kalisa-o-haram ai wa-e-majburi

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    Baal-e-Gibril

    ye pīrān-e-kalīsā-o-haram ai vā-e-majbūrī

    sila in kad-o-kāvish hai sīnoñ be-nūrī

    yaqīñ paidā kar ai nādāñ yaqīñ se haath aatī hai

    vo darveshī ki jis ke sāmne jhuktī hai faġhfūrī

    kabhī hairat kabhī mastī kabhī āh-e-sahar-gāhī

    badaltā hai hazāroñ rang merā dard-e-mahjūrī

    had-e-idrāk se bāhar haiñ bāteñ ishq o mastī

    samajh meñ is qadar aayā ki dil maut hai duurī

    vo apne husn mastī se haiñ majbūr-e-paidā.ī

    mirī āñkhoñ bīnā.ī meñ haiñ asbāb-e-mastūrī

    koī taqdīr mantiq samajh saktā nahīñ varna

    na the turkān-e-usmānī se kam turkān-e-taimūrī

    faqīrān-e-haram ke haath 'iqbāl' aa gayā kyūñkar

    mayassar miir o sultāñ ko nahīñ shāhīn-e-kāfūrī

    ye piran-e-kalisa-o-haram ai wa-e-majburi

    sila in ki kad-o-kawish ka hai sinon ki be-nuri

    yaqin paida kar ai nadan yaqin se hath aati hai

    wo darweshi ki jis ke samne jhukti hai faghfuri

    kabhi hairat kabhi masti kabhi aah-e-sahar-gahi

    badalta hai hazaron rang mera dard-e-mahjuri

    had-e-idrak se bahar hain baaten ishq o masti ki

    samajh mein is qadar aaya ki dil ki maut hai duri

    wo apne husn ki masti se hain majbur-e-paidai

    meri aankhon ki binai mein hain asbab-e-masturi

    koi taqdir ki mantiq samajh sakta nahin warna

    na the turkan-e-usmani se kam turkan-e-taimuri

    faqiran-e-haram ke hath 'iqbaal' aa gaya kyunkar

    mayassar mir o sultan ko nahin shahin-e-kafuri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now