ye rāz-e-soz-e-mohabbat kabhī ayaañ na huā
tamām ḳhāna-e-dil jal gayā dhuāñ na huā
kabhī na ḳhāna-e-dil meñ mire vo but aaya
makīn haif hai zīnat-dah-e-makāñ na huā
huā maiñ soz-e-tap-e-ġham se jal ke ḳhākistar
par is tarah se ki paidā zarā dhuāñ na huā
na but-kade meñ nazar aaya tū na ka.abe meñ
ḳharāb tere liye maiñ kahāñ kahāñ na huā
duī kā ham ne to dil se uThā diyā parda
hazār pardoñ meñ par vo sanam nihāñ na huā
habāb-vār hai bahr-e-jahāñ ke nashv-o-numā
na ho balā se agar qabr kā nishāñ na huā
safā-e-qalb se dekhā kiyā maiñ jalva-e-husn
hijāb māne-e-nazzāra-e-butāñ na huā
milāyā ḳhaak meñ jis ko faroġh par dekhā
sitam-shi.ār koī tujh sā āsmāñ na huā
ye kis ke bār-e-alam ne use ḳhamīda kiyā
jhukā kuchh aisā ki sīdhā phir āsmāñ na huā
baġhal meñ yār-e-parī-vash ho daur-e-sāġhar ho
hameñ nasīb kisī roz ye samāñ na huā
bahār meñ na chalā zo.af se junūñ kā zor
ki apnā pairahan-e-tan ye dhajjiyāñ na huā
agar kahā to kahā us ko nuqta-e-mauhūm
tire dahan pe dahan kā kisī gumāñ na huā
havas ye thī hama-tan sirf shukr-e-haq ho.e
mire badan kā har ik roñgTā zabāñ na huā
huā hai surma-e-chashm-e-butāñ pas-e-murdan
'vafā' ġhubār bhī apnā to rā.egāñ na huā
ye raaz-e-soz-e-mohabbat kabhi ayan na hua
tamam KHana-e-dil jal gaya dhuan na hua
kabhi na KHana-e-dil mein mere wo but aaya
makin haif hai zinat-dah-e-makan na hua
hua main soz-e-tap-e-gham se jal ke KHakistar
par is tarah se ki paida zara dhuan na hua
na but-kade mein nazar aaya tu na kabe mein
KHarab tere liye main kahan kahan na hua
dui ka hum ne to dil se uTha diya parda
hazar pardon mein par wo sanam nihan na hua
habab-war hai bahr-e-jahan ke nashw-o-numa
na ho bala se agar qabr ka nishan na hua
safa-e-qalb se dekha kiya main jalwa-e-husn
hijab mane-e-nazzara-e-butan na hua
milaya KHak mein jis ko farogh par dekha
sitam-shiar koi tujh sa aasman na hua
ye kis ke bar-e-alam ne use KHamida kiya
jhuka kuchh aisa ki sidha phir aasman na hua
baghal mein yar-e-pari-wash ho daur-e-saghar ho
hamein nasib kisi roz ye saman na hua
bahaar mein na chala zoaf se junun ka zor
ki apna pairahan-e-tan ye dhajjiyan na hua
agar kaha to kaha us ko nuqta-e-mauhum
tere dahan pe dahan ka kisi guman na hua
hawas ye thi hama-tan sirf shukr-e-haq hoe
mere badan ka har ek rongTa zaban na hua
hua hai surma-e-chashm-e-butan pas-e-murdan
'wafa' ghubar bhi apna to raegan na hua
Source:
Naghma-e-Hazar (Pg. 7)
-
Author:
Wafa Lakhnavi
-
- Publisher: Matba Yusufi, Lucknow
- Year of Publication: 1911
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.