ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chalti rahi
ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chaltī rahī
samundaroñ ke ḳhad-o-ḳhāl ko badaltī rahī
kisī ke qadmoñ se raste lipaT ke royā kiye
kisī kī maut pe ḳhud maut haath maltī rahī
use kināre kā kankar samajh ke paañv na rakh
ye aarzū mere dil ke sadaf meñ paltī rahī
ġhurūr-e-tishna-dahānī tirī baqā kī qasam
nadī hamāre laboñ kī taraf uchhaltī rahī
jamī thī barf ravayyoñ kī surḳh āñkhoñ par
darūn-e-jism koī aag thī machaltī rahī
tamāsh-gāh-e-zamāna meñ zindagī apnī
sambhal ke girtī rahī gir ke phir sañbhaltī rahī
ye kaun ā.ina-paikar yahāñ se guzrā hai
ki jis kī gard-e-safar par nazar phisaltī rahī
ye ret qais ke naqsh-e-qadam pe chalti rahi
samundaron ke KHad-o-KHal ko badalti rahi
kisi ke qadmon se raste lipaT ke roya kiye
kisi ki maut pe KHud maut hath malti rahi
use kinare ka kankar samajh ke panw na rakh
ye aarzu mere dil ke sadaf mein palti rahi
ghurur-e-tishna-dahani teri baqa ki qasam
nadi hamare labon ki taraf uchhalti rahi
jami thi barf rawayyon ki surKH aankhon par
darun-e-jism koi aag thi machalti rahi
tamash-gah-e-zamana mein zindagi apni
sambhal ke girti rahi gir ke phir sanbhalti rahi
ye kaun aaina-paikar yahan se guzra hai
ki jis ki gard-e-safar par nazar phisalti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.