Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye rishta-e-jaan meri tabahi ka sabab hai

Shamim Hanafi

ye rishta-e-jaan meri tabahi ka sabab hai

Shamim Hanafi

MORE BYShamim Hanafi

    ye rishta-e-jāñ merī tabāhī sabab hai

    is qaid se chhuTne tamannā bhī 'ajab hai

    is arsa-e-mahshar meñ ḳhamoshī bhī sadā hai

    TuuTī huī qabroñ meñ baḌā shor-o-sha'ab hai

    sūraj ko ye zid us ki ik buuñd na rah jaa.e

    hoñToñ ko faqat pyaas bujhāne talab hai

    chehre pe thakan saañs zanjīr pareshāñ

    āñkhoñ meñ magar ab bhī vahī ġhaiz-o-ġhazab hai

    kyuuñ dil ko ye hasrat hai kisī aur ko paale

    is shahr meñ mujh koī pahle thā na ab hai

    ye rishta-e-jaan meri tabahi ka sabab hai

    is qaid se chhuTne ki tamanna bhi 'ajab hai

    is arsa-e-mahshar mein KHamoshi bhi sada hai

    TuTi hui qabron mein baDa shor-o-sha'ab hai

    suraj ko ye zid us ki ki ek bund na rah jae

    honTon ko faqat pyas bujhane ki talab hai

    chehre pe thakan sans ki zanjir pareshan

    aankhon mein magar ab bhi wahi ghaiz-o-ghazab hai

    kyun dil ko ye hasrat hai kisi aur ko pale

    is shahr mein mujh sa koi pahle tha na ab hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 948)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now