Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta

Hafeez Jaunpuri

ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    ye sab kahne bāteñ haiñ ki aisā ho nahīñ saktā

    mohabbat meñ jo dil mil jaa.e phir kyā ho nahīñ saktā

    shikāyat ho nahīñ saktī ki shikvā ho nahīñ saktā

    zarā chheḌ de koī to phir kyā ho nahīñ saktā

    burā.ī evaz hargiz bhalā.ī ho nahīñ saktī

    burā kah kar kisī ko koī achchhā ho nahīñ saktā

    hamārā un qissa log sunte haiñ to kahte haiñ

    mazā hai hashr tak yaksū ye jhagḌā ho nahīñ saktā

    kareñ terī shikāyat kyā ki ik dost hai apnā

    kisī dushman bhī ham se to shikvā ho nahīñ saktā

    ilāhī jazb-e-dil is kashish se baaz aayā maiñ

    koī parda-nashīñ kahtā hai parda ho nahīñ saktā

    'hafīz' un ġhazal hai choT khā baiThī haiñ jo dil par

    baġhair is ke suḳhan meñ lutf paidā ho nahīñ saktā

    ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta

    mohabbat mein jo dil mil jae phir kya ho nahin sakta

    shikayat ho nahin sakti ki shikwa ho nahin sakta

    zara sa chheD de koi to phir kya ho nahin sakta

    burai ka ewaz hargiz bhalai ho nahin sakti

    bura kah kar kisi ko koi achchha ho nahin sakta

    hamara un ka qissa log sunte hain to kahte hain

    maza hai hashr tak yaksu ye jhagDa ho nahin sakta

    karen teri shikayat kya ki tu ek dost hai apna

    kisi dushman ka bhi hum se to shikwa ho nahin sakta

    ilahi jazb-e-dil ki is kashish se baz aaya main

    koi parda-nashin kahta hai parda ho nahin sakta

    'hafiz' un ki ghazal hai choT kha baiThi hain jo dil par

    baghair is ke suKHan mein lutf paida ho nahin sakta

    Source:

    Diwan-e-Hafeez(Rekhta Website) (Pg. 10)

    • Author: Hafeez Jaunpuri
      • Edition: 1903
      • Publisher: Matba Hakeem,Gorakhpur
      • Year of Publication: 1903
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now