ye sach hai shaKH se bichhDa hua hun
ye sach hai shāḳh se bichhḌā huā huuñ
maiñ ḳhud TuuTā nahīñ toḌā gayā huuñ
hazāroñ ḳhvāhisheñ hai dafn mujh meñ
maiñ jiitā jāgtā ik maqbara huuñ
karūñ kyā aañkh hī sūraj-mukhī hai
jidhar tum ho udhar hī dekhtā huuñ
dikhā dariyā kabhī dariyā-dilī bhī
maiñ terī ret par pyāsā khaḌā huuñ
'ḳhalīl' ab dushmanoñ kā naam mat lo
maiñ apne dostoñ se Dar gayā huuñ
ye sach hai shaKH se bichhDa hua hun
main KHud TuTa nahin toDa gaya hun
hazaron KHwahishen hai dafn mujh mein
main jita jagta ek maqbara hun
karun kya aankh hi suraj-mukhi hai
jidhar tum ho udhar hi dekhta hun
dikha dariya kabhi dariya-dili bhi
main teri ret par pyasa khaDa hun
'KHalil' ab dushmanon ka nam mat lo
main apne doston se Dar gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.