ye sail-e-ashk mujhe guftugu ki tab to de

Sabiha Saba

ye sail-e-ashk mujhe guftugu ki tab to de

Sabiha Saba

MORE BYSabiha Saba

  ye sail-e-ashk mujhe guftugū taab to de

  jo ye kahūñ ki vafā mirī hisāb to de

  bharī bahār-rutoñ meñ bhī ḳhaar le aa.ī

  ye intizār Tahnī kabhī gulāb to de

  nahīñ nahīñ maiñ vafā se kināra-kash to nahīñ

  vo de rahā hai mujhe hijr azaab to de

  ye ḳhāmushī to qayāmat jaan levā hai

  vo dil dukhā.e magar baat javāb to de

  har ek vāqi.a tārīḳh-dār likh jā.ūñ

  ga.e dinoñ mire haath vo kitāb to de

  ye dekh kis gul-e-tar par nigāh Thahrī hai

  na de vo phuul mujhe dād-e-intiḳhāb to de

  gunāhgār sahī phir bhī mere hisse

  tirī taraf jo nikaltā hai vo savāb to de

  ye sail-e-ashk mujhe guftugu ki tab to de

  jo ye kahun ki wafa ka meri hisab to de

  bhari bahaar-ruton mein bhi KHar le aai

  ye intizar ki Tahni kabhi gulab to de

  nahin nahin main wafa se kinara-kash to nahin

  wo de raha hai mujhe hijr ka azab to de

  ye KHamushi to qayamat ki jaan lewa hai

  wo dil dukhae magar baat ka jawab to de

  har ek waqia tariKH-dar likh jaun

  gae dinon ki mere hath wo kitab to de

  ye dekh kis gul-e-tar par nigah Thahri hai

  na de wo phul mujhe dad-e-intiKHab to de

  gunahgar sahi phir bhi mere hisse ka

  teri taraf jo nikalta hai wo sawab to de

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY