Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki

Riyaz Khairabadi

ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    ye sar-ba-mohr botaleñ haiñ jo sharāb

    rāteñ haiñ un meñ band hamārī shabāb

    pūchho na ham se ālam-e-ġhaflat ke ḳhvāb

    duniyā kuchh aur thī hamāre shabāb

    ye nashsha aañkh dekh ke us mast ḳhvāb

    jaise abhī chaḌhā.ī ho botal sharāb

    surḳhī shafaq shakl mah-o-āftāb

    chhalkī huī sharāb hai jām-o-sharāb

    kyuuñ TūTtī haiñ bijliyoñ par aaj bijliyāñ

    shāyad girah khulī tire band-e-naqāb

    mīnā-o-jām dekh ke ḳhush hogā mohtasib

    samjhegā vo khilī huī kaliyāñ gulāb

    thī sar-ba-mohr phuuT ga.ī apne zor meñ

    tauba se pahle TuuTī hai botal sharāb

    sharmā ga.iiñ jo bosa-e-lab baaġh meñ liyā

    simTī haiñ kyā khilī huī kaliyāñ gulāb

    ham ne tamām umr meñ kitnī sharāb

    shāyad batā sake hameñ mīzāñ hisāb

    chehre rañg dekh lo tum rakh ke aa.ina

    bose se dauḌ jā.egī surḳhī shahāb

    mahfil meñ jo phuul to is ehtiyāt se

    mīnā-e-mai ne na kabhī sharāb

    ai kasrat-e-gunāh tire Dar se dab ga.ī

    dekhā mujhe ki jhuk ga.ī mīzāñ hisāb

    zarra havā meñ bhar ke banā aadmī shakl

    qatra havā meñ bhar ke hai sūrat habāb

    chakkar havā ne itne diye haiñ ki gard-e-bād

    tasvīr ban gayā hai mire pech-o-tāb

    saa.e se us zulf ke bint-e-inab ko kyā

    ban kar parī uḌegī ye botal sharāb

    ye kah ke kal dikhā.e unheñ pāra-e-jigar

    bikhrī huī ye pañkhuḌiyāñ haiñ gulāb

    har shaam saath laatī hai ik chaudhvīñ chāñd

    kyā jāneñ kyā kareñgī ye rāteñ shabāb

    kam-baḳht ne sharāb zikr is qadar kiyā

    vaa.iz ke muñh se aane lagī sharāb

    do ghūñT par sharāb ke hai hasr zindagī

    rāteñ shabāb haiñ na bāteñ shabāb

    kaam aa.egī 'riyāz' ke mashq-e-tavāf-e-ḳhum

    ka.abe ke gird hoñge jo sūjhī savāb

    ye sar-ba-mohr botalen hain jo sharab ki

    raaten hain un mein band hamari shabab ki

    puchho na hum se aalam-e-ghaflat ke KHwab ki

    duniya kuchh aur hi thi hamare shabab ki

    ye nashsha aankh dekh ke us mast KHwab ki

    jaise abhi chaDhai ho botal sharab ki

    surKHi shafaq ki shakl mah-o-aftab ki

    chhalki hui sharab hai jam-o-sharab ki

    kyun TuTti hain bijliyon par aaj bijliyan

    shayad girah khuli tere band-e-naqab ki

    mina-o-jam dekh ke KHush hoga mohtasib

    samjhega wo khili hui kaliyan gulab ki

    thi sar-ba-mohr phuT gai apne zor mein

    tauba se pahle TuTi hai botal sharab ki

    sharma gain jo bosa-e-lab bagh mein liya

    simTi hain kya khili hui kaliyan gulab ki

    hum ne tamam umr mein kitni sharab pi

    shayad bata sake hamein mizan hisab ki

    chehre ka rang dekh lo tum rakh ke aaina

    bose se dauD jaegi surKHi shahab ki

    mahfil mein pi jo phul to is ehtiyat se

    mina-e-mai ne bu na kabhi di sharab ki

    ai kasrat-e-gunah tere Dar se dab gai

    dekha mujhe ki jhuk gai mizan hisab ki

    zarra hawa mein bhar ke bana aadmi ki shakl

    qatra hawa mein bhar ke hai surat habab ki

    chakkar hawa ne itne diye hain ki gard-e-baad

    taswir ban gaya hai mere pech-o-tab ki

    sae se us ki zulf ke bint-e-inab ko kya

    ban kar pari uDegi ye botal sharab ki

    ye kah ke kal dikhae unhen para-e-jigar

    bikhri hui ye pankhuDiyan hain gulab ki

    har sham sath lati hai ek chaudhwin ka chand

    kya jaanen kya karengi ye raaten shabab ki

    kam-baKHt ne sharab ka zikr is qadar kiya

    waiz ke munh se aane lagi bu sharab ki

    do ghunT par sharab ke hai hasr zindagi

    raaten shabab ki hain na baaten shabab ki

    kaam aaegi 'riyaz' ke mashq-e-tawaf-e-KHum

    kabe ke gird honge jo sujhi sawab ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now