Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shan-e-wafa gham ki hikayat se mili hai

Habeeb Jaunpuri

ye shan-e-wafa gham ki hikayat se mili hai

Habeeb Jaunpuri

MORE BYHabeeb Jaunpuri

    ye shān-e-vafā ġham hikāyat se milī hai

    daulat mujhe ye dard-e-mohabbat se milī hai

    aalam ko bahārāñ hai kiye us tamanna

    gulshan ko mahak phuul sohbat se milī hai

    ik hashr hai us kisī kūche se guzarnā

    raftār had hadd-e-qayāmat se milī hai

    zarre se jo suntā huuñ maiñ sūraj kahānī

    ye āgahī muddat riyāzat se milī hai

    mushkil har ik shakl pe merā hai tasarruf

    mujh ko ye sanad shāh-e-vilāyat se milī hai

    is qaum ke ab koī bhaTakne nahīñ Dar

    manzil jise sadiyoñ masāfat se milī hai

    tum yaad na rakkho mujhe lekin ye rahe yaad

    shohrat tumheñ merī mohabbat se milī hai

    ye shan-e-wafa gham ki hikayat se mili hai

    daulat mujhe ye dard-e-mohabbat se mili hai

    aalam ko bahaaran hai kiye us ki tamanna

    gulshan ko mahak phul ki sohbat se mili hai

    ek hashr hai us ka kisi kuche se guzarna

    raftar ki had hadd-e-qayamat se mili hai

    zarre se jo sunta hun main suraj ki kahani

    ye aagahi muddat ki riyazat se mili hai

    mushkil ki har ek shakl pe mera hai tasarruf

    mujh ko ye sanad shah-e-wilayat se mili hai

    is qaum ke ab koi bhaTakne ka nahin Dar

    manzil jise sadiyon ki masafat se mili hai

    tum yaad na rakkho mujhe lekin ye rahe yaad

    shohrat tumhein meri hi mohabbat se mili hai

    Source:

    Kulliyat-e-Habib (Pg. 120)

    • Author: Habeeb Jaunpuri
      • Publisher: Al-Habeeb Publications, Lahore
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now