ye soch kar bahut hun pareshan aaj-kal
ye soch kar bahut huuñ pareshān āj-kal
kyoñ ho rahī hai mushkileñ āsān āj-kal
mat pūchhiye aziyyateñ be-rozgār haiñ
lagne lagā hai ghar hameñ zindān āj-kal
masrūf is liye bhī maiñ rahtā huuñ in dinoñ
paḌhne lagā huuñ 'mīr' kā dīvān āj-kal
masnad pe rah ke ḳhud ko samajhtā thā jo ḳhudā
vo bhī to phir rahā hai pareshān āj-kal
mumkin kahāñ hai ab koī ehsān maan le
matlab-parast ho gayā insān āj-kal
apne har ek zaḳhm ke badle kī chaah meñ
sab ko batā rahā huuñ maiñ 'unvān āj-kal
tum ko bhulā ke jiinā ḳhasāra to hai magar
karnā hī paḌ rahā hai ye nuqsān āj-kal
jis samt bhī 'asad' miyāñ daulat kā Dher ho
jhuktā hai us taraf hī ye mīzān āj-kal
ye soch kar bahut hun pareshan aaj-kal
kyon ho rahi hai mushkilen aasan aaj-kal
mat puchhiye aziyyaten be-rozgar hain
lagne laga hai ghar hamein zindan aaj-kal
masruf is liye bhi main rahta hun in dinon
paDhne laga hun 'mir' ka diwan aaj-kal
masnad pe rah ke KHud ko samajhta tha jo KHuda
wo bhi to phir raha hai pareshan aaj-kal
mumkin kahan hai ab koi ehsan man le
matlab-parast ho gaya insan aaj-kal
apne har ek zaKHm ke badle ki chah mein
sab ko bata raha hun main 'unwan aaj-kal
tum ko bhula ke jina KHasara to hai magar
karna hi paD raha hai ye nuqsan aaj-kal
jis samt bhi 'asad' miyan daulat ka Dher ho
jhukta hai us taraf hi ye mizan aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.