Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye sochta hun charaghon ka ehtimam karun

Mehshar Afridi

ye sochta hun charaghon ka ehtimam karun

Mehshar Afridi

MORE BYMehshar Afridi

    ye sochtā huuñ charāġhoñ ehtimām karūñ

    havā ko bhuuk lagī hai kuchh intizām karūñ

    har ek saañs ragaḌ khā rahī hai siine meñ

    aur aap kahte haiñ aahoñ pe aur kaam karūñ

    abhī to dil qayādat meñ paañv nikle haiñ

    talāsh-e-ishq ruke to kahīñ qayām karūñ

    ḳhatā-muāf magar itnā be-adab bhī nahīñ

    baġhair dil ijāzat tumheñ salām karūñ

    faqīr-e-ishq huuñ kashkol-e-dil meñ hasrat hai

    gadāgarī mahāsil bhī tere naam karūñ

    mire junūn ko sahrā jhel saktā hai

    kahīñ jo shahr meñ niklūñ to qatl-e-ām karūñ

    ye sochta hun charaghon ka ehtimam karun

    hawa ko bhuk lagi hai kuchh intizam karun

    har ek sans ragaD kha rahi hai sine mein

    aur aap kahte hain aahon pe aur kaam karun

    abhi to dil ki qayaadat mein panw nikle hain

    talash-e-ishq ruke to kahin qayam karun

    KHata-muaf magar itna be-adab bhi nahin

    baghair dil ki ijazat tumhein salam karun

    faqir-e-ishq hun kashkol-e-dil mein hasrat hai

    gadagari ka mahasil bhi tere nam karun

    mere junun ko sahra hi jhel sakta hai

    kahin jo shahr mein niklun to qatl-e-am karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now