ye sukun jo luTa hai gaon ka
ye sukūñ jo luTā hai gaaoñ kā
kaam lagtā hai āshnāoñ kā
tez bārish thī raat meñ tanhā
shor suntā rahā havāoñ kā
naav Duubī mirī kināre par
paas mela thā nā-ḳhudāoñ kā
ek chhoTā sā peḌ kaTte hī
luT gayā hai suhāg chhāoñ kā
jis ke sāhil pe ḳhuun bikhrā hai
ye jazīra hai devtāoñ kā
chhoḌ kar chal diyā vo mahfil ko
zikr jab bhī chalā vafāoñ kā
choñch meñ bhar ke goliyāñ lā.īñ
kaisā hākim hai fāḳhtāoñ kā
terā ghar paas aa gayā shāyad
aabla phir dikhā hai paaoñ kā
ye sukun jo luTa hai gaon ka
kaam lagta hai aashnaon ka
tez barish thi raat mein tanha
shor sunta raha hawaon ka
naw Dubi meri kinare par
pas mela tha na-KHudaon ka
ek chhoTa sa peD kaTte hi
luT gaya hai suhag chhaon ka
jis ke sahil pe KHun bikhra hai
ye jazira hai dewtaon ka
chhoD kar chal diya wo mahfil ko
zikr jab bhi chala wafaon ka
chonch mein bhar ke goliyan lain
kaisa hakim hai faKHtaon ka
tera ghar pas aa gaya shayad
aabla phir dikha hai paon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.