ye surKH lafz meri zat se nikalte hain
ye surḳh lafz mirī zaat se nikalte haiñ
ki she'r shiddat-e-jazbāt se nikalte haiñ
ye āñkheñ laal gulābī yūñhī nahīñ hotīñ
diloñ ke dard to hālāt se nikalte haiñ
hamāre ḳhvāb to raushan tumhāre naam se haiñ
hazār rang ḳhayālāt se nikalte haiñ
ye din ke saare ujāle kahāñ se aate haiñ
kisī ne Thiik kahā raat se nikalte haiñ
tumhāre haath kī lambā.ī aur baḌh jaa.e
bahut se kaam to sadqāt se nikalte haiñ
vafā kī raah meñ sunnat hai sabr-e-ayyūbī
salām zulf kī ḳhairāt se nikalte haiñ
tumhāre haath kī 'azmat ko chūmte haiñ ham
hamāre qad to isī haath se nikalte haiñ
hamāre muñh meñ tumhārī zabān rakkhī hai
ye mīThe ras inhīñ naġhmāt se nikalte haiñ
zamāna rang badaltā hai ġham na kar 'ulfat'
sunahre pal bhī to lamhāt se nikalte haiñ
ye surKH lafz meri zat se nikalte hain
ki she'r shiddat-e-jazbaat se nikalte hain
ye aankhen lal gulabi yunhi nahin hotin
dilon ke dard to haalat se nikalte hain
hamare KHwab to raushan tumhaare nam se hain
hazar rang KHayalat se nikalte hain
ye din ke sare ujale kahan se aate hain
kisi ne Thik kaha raat se nikalte hain
tumhaare hath ki lambai aur baDh jae
bahut se kaam to sadqat se nikalte hain
wafa ki rah mein sunnat hai sabr-e-ayyubi
salam zulf ki KHairaat se nikalte hain
tumhaare hath ki 'azmat ko chumte hain hum
hamare qad to isi hath se nikalte hain
hamare munh mein tumhaari zaban rakkhi hai
ye miThe ras inhin naghmat se nikalte hain
zamana rang badalta hai gham na kar 'ulfat'
sunahre pal bhi to lamhat se nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.