Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye tere hijr ka mausam sarab jaisa hai

Naeem Saba

ye tere hijr ka mausam sarab jaisa hai

Naeem Saba

MORE BYNaeem Saba

    ye tere hijr mausam sarāb jaisā hai

    har ek lamha musalsal azaab jaisā hai

    laboñ pe us ke tabassum ke phuul khilte haiñ

    vo ek chehra mo.attar gulāb jaisā hai

    kisī ne jaam uThāyā kisī zulf khulī

    havā ke dosh pe mausam sahāb jaisā hai

    ba-nām-e-lāla-ruḳhāñ kuchh to zahr-e-ġham leñ

    tire laboñ meñ halāhil sharāb jaisā hai

    vo mere paas hai lekin ye haal hai apnā

    sukūn dil bhī ab iztirāb jaisā hai

    qarār-e-jāñ bhī vahī iztirāb-e-jāñ bhī vahī

    vo ek shaḳhs mujassam-shabāb jaisā hai

    ḳhalish hai dil meñ kasak hai bekalī bhī hai

    'sabā' ye hosh aalam bhī ḳhvāb jaisā hai

    ye tere hijr ka mausam sarab jaisa hai

    har ek lamha musalsal azab jaisa hai

    labon pe us ke tabassum ke phul khilte hain

    wo ek chehra moattar gulab jaisa hai

    kisi ne jam uThaya kisi ki zulf khuli

    hawa ke dosh pe mausam sahab jaisa hai

    ba-nam-e-lala-ruKHan kuchh to zahr-e-gham pi len

    tere labon mein halahil sharab jaisa hai

    wo mere pas hai lekin ye haal hai apna

    sukun dil ka bhi ab iztirab jaisa hai

    qarar-e-jaan bhi wahi iztirab-e-jaan bhi wahi

    wo ek shaKHs mujassam-shabab jaisa hai

    KHalish hai dil mein kasak si hai bekali bhi hai

    'saba' ye hosh ka aalam bhi KHwab jaisa hai

    Source:

    Regzar-e-Dil-e-Tanha (Pg. 173)

    • Author: Naeem Saba
      • Publisher: Maktaba-e-Rahman
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now